Tuesday, November 30, 2010

Mein Ne Daikha Tha Un Dino Mein Ussay - Mohsin Naqvi




- One of my all time favourite poem by Mohsin Naqvi - 



Main ne dekha tha un dino mien Ussay
Jab wo khiltay gulab jesa tha, 
Us ki palkoon se neend chanti thi
Us ka lehja sharab jesa tha,
Us ki zulfoon se bhegti thi ghattaa
Us ka rukh mahtaab jesa tha,
Log parhtay thay khal o khad us ke
Wo adab ki kitab jesa tha,
Bolta tha zuban khushbu ki
Log suntay thay dharkanooon mien ussay 

Main ne dekha tha un dino mien ussay

Sari ankhien theen aainay uske
Saray chahroon mien intekhab tha wo,
Sab se ghul mil ker ajnabi rahna Ek darya numa sarab tha wo,  
Ye khawab hai ke wo haqeqat tha
Ye haqeqat hai ke koi khawab tha wo,
Dil ki dharti pe asmaan ki tarah,
Sorat-e-saya-o-sahab tha wo, 
Apni neendien usi ki nazr hoeen
Mein ne paya tha ratjagoon mein ussay 
Main ne dekha tha un dino mien ussay


Jab wo hans hans ke baat karta tha
Dil ke khaimay mein raat karta tha
Rang parhtay thay aanchaloon mien ussay 
 
Main ne dekha tha un dino mien ussay

Ye magar dar ki kahani hai
Ye magar door ka fasana hai
Us ke mere milaap mein haail
Ab to sadiyon bhara zamana hai 


Ab to yun hai ke haal apna bhi
Dasht e hijran ki shaam jesa hai
Kia khabar in dino WO kesa hai...

Main ne dekha tha un dino mein ussay !

No comments:

Post a Comment